Tariq Khan – Hai Kon Wo Lussan (Listen/Download Mp3 and Lyrics)

SHARE

tariq-khan-hai-kon-wo-lussanArtist: Tariq Khan
Song: Hai Kon Wo Lussan
Rap/Vocal/Lyrics/Music/Composition: Tariq Khan
Supporting by Kashif Khan
Recorded at TK Production

Download Mp3!

Take a listen to the song below:

Lyrics:

VERSE 1:
Meezan ki bike le ke aye hain medan me,
Chichor pana bhi karte hain apne program me,
Ramzan mai zakat ka maal ye lutate hain,
Or Pakistani awam ko chey ye banate hain,
Apne bandon ko ye kaarobar bhi karate hain,
Jo ajaye pasand to usko goud mai bithate hain,
Aise log to aksar londay baaz hi kehlate hain,
Jo aisi be-sharmi public k samne kar jate hain,
Doctor hain ye logon ko dete hain dawaiyan,
Aik nahi kaafi saari hain inki lugaiyan,
Apne show mai logon ka uraate hain mazaq ye,
Poochte hain ghaalib film dekhi hai kya aapne,
Lariyon se poochte hain aasan sawal ye,
Tharki pan bhi dikhlate hain ye to barey shaan se,
Naam iske baap ka isko koi bata do,
Nahi maloom to musalmano koi tukka hi laga do…

CHORUS:
Meri batain samjh kya ayengi tujhe dhakkan,
Socho zara ghour se ke hai kon woh lassun,
Terhi topi deewan-e-ghalib or mun mai makkhan,
Socho zara ghour se ke hai kon woh lassun..

VERSE 2:
Apne kurte de deta hai logon ko khairaat me,
Sharam to saari hi bech khai is shaitaan ne,
Be-hayai mai apni ye aise doob jata hai,
Jaise koi janwar naalay mai kood jata hai,
Nazren to uthata nahi orton ke saamne,
Sirf bachiyon ko tarta hai woh bhi ankhen phaar ke,
Phir unko patata hai Q mobile ke set se,
Larkon ko tarkha deta hai durrani k suit pe,
Logon se kehta hai bajao zoor se taliyan,
Show ke khatam hote hi deta hai sub ko gaaliyan,
Andar hai ghatiya uper se kurta to theek hai,
Ja kar dekho youtube pe video iski leak hai,
Per jaoge kahan se saali youtube to band hai,
Bhayanak malik ki sari ki sari ye gunnd hai,
Meri to bas yehi aik guzarish hai is qoum se,
K jab aye agli baar to sab bachna is firon se…

CHORUS:
Meri batain samjh kya ayengi tujhe dhakkan,
Socho zara ghour se ke hai kon woh lassun,
Terhi topi deewan-e-ghalib or mun mai makkhan,
Socho zara ghour se ke hai kon woh lassun..

VERSE 3:
Pooray saal mai aik maheena aisa ata hai,
Jis mai ye kamina poore saal ka kamata hai,
Ja kar iske show mai main to dhandli macha dunga,
Kya hai iski asliyat ye sub ko bata dunga,
14 ghante ki transmission to bas aik khail hai,
Mun pe iske daari or baalon me hota gel hai,
Dukaan iski T.v pe jo dekhte hain regular,
To is se behtar dekho chota bheem pogo tv per,
Har banda chahta hai mil jaye mujhko bhi mouqa,
Koi pooche iske show ka to kehna, mera ponka
Eden robe ka suit united ke gift hemper,
Bathroom bhi jata nahi pehenta hai kya pamper,
Be-gherti mai iska hi to naam sub se uper hai,
Is gane k baad to jeena bhi iska doobar hai,
To bas akhri sawal hai ye firdous ki lawn ka,
Ke Abdullah Bin Abdul wahab akhir kon tha..

CHORUS:
Meri batain samjh kya ayengi tujhe dhakkan,
Socho zara ghour se ke hai kon woh lassun,
Terhi topi deewan-e-ghalib or mun mai makkhan,
Socho zara ghour se ke hai kon woh lassun..

Leave Your Comments Through Facebook