Artist: Hamza Jafri & Nida Butt
Song: Karachi
Listen/Download the song from here:
Download the song mp3 from here
LYRICS:
Shehar Samanadar ke kinaray,
hai barh raha karachi
hai ghareebon kay saharay hai char raha karachi
Ameeron ke bhi hathon, hai lut raha karachi
Jahannum kay beech hai khil raha
Karachi yahan kee sab noorani hai raatein dikhti,
Aurat kee bhee jawani galiyon mein bikti,
Ad-don mein juway baazi – naseebain likhti,
Masoomiyat sharafat – yahan nahi tikti
Bijli pani nahi, aye haye! sab museebat mein,
Phir bhe jahan bhi dekho hain muskurahatain,
Karachi , rickshaw bus ya taxi
(O sir jee! my rickshaw disco sexy)
Shehar samandar ke kinaray,
Khanay pakoray chaat masalay,
Lekin yahan ke log becharay nahatay hain,
Sab naloon ke kinaray
Karachi mein karachi
Kabhi kachi abaadai
17 crore log ke nishani !
Degree ho aslee ya jaali
Degree degree hai!
Government-Zameendaron kay bech tagri jigri hai
Subhay tapti dhoop,
Raaton mein gham,
Kaun jagayega hamain hamari neend say,
Dil mein umeedain kam,
Phir bhee be-had pyar hai is jaga say,
Kal dubara say, phir museebat mein!
Highway say Abdullah Shah Ghazi dhamakay,
French beach, Maripur or Lyari hartalein,
Burns road biryani or nihari khila dein,
Light house kisi ke maili shirtein pehna day,
Badmashi, luchay-lafangay baazi yahan pay,
Izzat kay badlay paisay
Party walon ke hathon mein qanoon kay chanday
Sab ke nazrain seedhi hain per terhay hain rastay
Subhay tapti dhoop,
Raaton mein so so ghum,
Kaun jagaye ga hamain hamari neend say,
Dil mein umeedain kam
phir bhi be-had pyar hai iss jaga say,
Kal dubara say phir museebat mein,
phir museebat mein,
phir museebat mein…. (3x)