Talhah Yunus feat. Intishaar – Thoughts (Listen/Download Mp3)

SHARE

Talhah YunusRap: Talhah Yunus
Vocals: Navin Chohan/Umair Khan
Music Composed/Produced by Umair Khan
Recorded at Heavy Mental Studio

Download Mp3!

Take a listen to full song below:

Lyrics of thoughts:

Mere andar ki kahani mera rab hi sirf jaanta,
Mujhey na maloom tha k mere hath mai sirf kaanch tha,
Ye dunya hai khel koi jeet ta koi haarta,
Rab mera naraaz kiu k music mera pyaar tha,
Jeet ta phir haarta, apnay aap ko mai maarta,
Najanay kis nashay mai apnay aap ko zinda gaarta,
Magar phir bhi mai sab k saamnay khara hun,
Shaitaan mere neeche bolay mai jaldi fanaa hun,
Pukaartay hazaar magar mur k na dekhta,
Is poori industry mai mera ek chota khet tha,
Aur us hi chotay khet se ye industry saali darti,
Mujhey nahin rokna inki sabse bari ghalti,
Meri wajah se mera apna hi ghar ujar gaya,
Baba doston se puchen, beta Talhah kidhar gaya,
Baba ye tou Talhah khud bhi nai jaanta,
Aap ki saari baaton ka woh bura nai maanta,
Khata pe khata haan mai tera gunahgaar hun,
Maafi chahta hun, mai bas thora sa khuddar hun,
music mera yaar, mai kisi ki nai sunta,
Sorry kiya bola maine mai shayad zara sunn thaa,
Moon pe bantay achay, peet peeche saalay bhonktay,
Mujhey dua denay walay najanay woh kon thay,
Jo bhi hain mai unhen kabhi bhool nai sakta,
Rapper bannay se koi kabhi cool nahin banta,
16 saal ki umar mai ye dunya pehchaan lee,
Paise se banain yaar aur paise ne hi jaan lee

Meri soch mere jism ka zehr kiun banay,
Mere lafzon ki kahaani ko kinaray kiun na milay,
Jhootay hain log, Jhooti hai dunya saari,
Paise k nashay mai, dozakh ye dunya hamari

Andheron mai bhi, mujhey bas ujalay ki talaash hai,
Kaash koi kaandha dey, aur kaash koi sath dey,
Ek hi tou sapna tha woh bhi ab toot gaya,
Maa ka tha sath, aur woh sath bhi choot gaya,
Meri kamyabi ki wajah, mere rab aap thay
Seerhi pe betha tha aur apnay hi mere saanp thay,
Jahan se shuru hua ab waheen mai khara hun,
Na janay Kitni baar jiya, aur kitni baar mara hun,
Jinhen maine sikhaya, ab woh hi mujhey kaat tay,
meri zindigani k najanay kitnay raaz thay,
Khanstay ye rastay, mere agay bechaye hue kaantay hazaar thay,
Is Industry k ye tattu mattu phir bhi mujhe maantay,
Jaantay hain sab magar sirf kuch hi pehchantay,
Paisa inki dunya, magar ye dunya gol hai,
Aur mai nai maanta k music ka koi mol hai,
Dhoondnay se bhi na milayga tujhey mere jesa,
Mai kamata hun izzat aur tera pyaar paisa,
Bhool aya apna dil, dimag mera hathyar,
Qalam k saharay mai phir karta gaya waar,
Is jung k medaan mai akela mai larunga,
Sar utha kar jiya, sar utha kar marunga,
Ye rab ka kamaal hai k mai aaj bhi yahan hun,
Taqdeer se mai puchta, bata mai kahan hun,
Dost se acha dushman, apnon k dil mai aag hai,
Aur Is dunya se bhi bara mera ye dimag hai,
Soch meri bari, lekin hath mere khali,
Na paisa hai na kuch, dunya beyiman saali,

Dastakh derahi hain, hasraten ye meri,
Ankhon mai nashay hain, sadiyon se kaheen

Meri soch mere jism ka zehr kiun banay,
Mere lafzon ki kahaani ko kinaray kiun na milay,
Jhootay hain log, Jhooti hai dunya saari,
Paise k nashay mai, dozakh ye dunya hamari

Leave Your Comments Through Facebook