Track: Garmi
Artist: Talhah Yunus
Lyrics: Talhah Yunus
Recording, Mixing & Mastering: Sharaf Qaisar
Download Mp3!
Take a listen to the song below:
Lyrics:
(Intro:)
Uh, Talhah Yunus in the house
SQ Nation
TY fam waddup?
(Verse: 1)
Pani dalo sar pe, chup ke betho ghar pe
Kakay dukaan se do lassi le aa pharr ke
Nahana paray baat baat pe, ye jeena bhi kia jeena hai
Pata hi nai chalta kab pani hai kab paseena hai
Jab mausam ho garam tou abba ho out
Choti choti baaten pe kerta shout
Tung agaya hun in faltu k dramon se, jharru martay waqt selfie aur us mai bhi pout
Ajeeb ajeeb se trends hain, pehnay sardiyon mai chadday
Aur garmion mai baat baat pe hotay hain phudday
Oe pepsi tou laa dey, nai baaahur nai jaonga
Kiu, mai kaala hojaonga
Bikinis mai bachiyan aati hain beach pe
Nazar nai ana warna marunga pathar kheech ke
Tayyar shayar hoke gaya beach party pe umeed se
Wahan milgaye sindhi bagher kameez ke
(Chorus:)
Baahur bohat garmi hai, Boy baahur bohat garmi hai x4
(Verse: 2)
Seedhi baat mun pe, koi khichri nai
Ek tou garmi bohat aur bijli nai
Insaan hain yaar hum bhi, nahin hain jungli kuttay
Haramipan koi aur keray tou saza hum kiu bhugtain
Samajh nai ata yahan har banda hai ghunda kiu
5 waqt ke namazi tou ghar mai kunda kiu
Ramzan mai kitna time aj kal daru bohat sasti hai
Ya seth bano ya naik bano, par raho ek kashti mai
Akar bakar bambay bo, abay jaa oe jaake mun tou dho
Mun pe nikla daana, oe aam nahin hai ab khana
Log garmi mai bhi Latte mangwatay hain
Aur hum tou wahan jaake bas thandi hawa khatay hain
Yaaar bachiyan tou dekh woh jin ke sath mai do naatay hain
Pata nai kia masla hai, shayad hum main kaantay hain
(Chorus:)
Baahur bohat garmi hai, Boy baahur bohat garmi hai x4
(Verse: 3)
Sakht garmi mai burqa, ye choti moti baat nahin
Salute in behnon ko, is cheez ka mazaak nahin
10 11 saal ke bachaay bolayn badchodi tou banti hai
Ye keren tou hahaha aur mai kerun tou thandi hai
Bhui ye tou ghalat baat hai ye kesa insaaf haai
Birthday pe anday maarna, ye kesa mazak hai?
Khola AC aur xbox, boy ab hua na scene on
Phir abba ki galiyan, aur pucha k bill dega kon?
Ameeron k shauq ye, time do parhai ko
Khao bhindi aur sabzi, choro karhai ko
Sab nangay instagram pe, la haul wala quwat
Sab naha rahay paseenay , o bhai thoraa door hat
Garmi ka tor, sattu ka juice
Poondi ka tor, party at cruise
Water parks ki baat nai kerta kiu ke woh is laik nai
Baahur bohat garmi hai, par kiu is baat ki strike nai
(Chorus:)
Baahur bohat garmi hai, Boy baahur bohat garmi hai x4