Artist: Kunwer Azlan
Song: AITBAAR
Rap/Vocals: Kunwer Azlan
Music composer: Umair Khan
Lyrics: Kunwer Azlan
Recorded at Heavy Mental Studio
Download Mp3!
Take a listen to the song below:
Lyrics:
Intro:
You know, you cannot treat people like shit and expect them to love you..
Verse1:
Kya sochi ya samjhi meri koi baat,
Kari wafa, ya dia mera saath,
Na soya buss roya har aik raat,
Cheeka chilaya par jorey apney haath.
Jeet na haar, wohi baat har baar, phir bhi kya pyaar, bina dekhe tehwaar, aik sach or tere jhoot hazaar, dhoke ka tou saja bazaar.
Ehsaan nahin hai tera do pal ki mujhe khushi di, uss bhole dil ke peechey teri sachayi bhi chupi thi.
Jhoothi thi, rookhi thi, pyaar ki tum bhooki thin, kitna dafa larey hum, aik baar nahin tum jhuki thin.
Jeeun, marun, kya gham tumhey, poori kari har khuaish, tere lab choomey.
Tumhara khayal, sar mein ghoomey, yeh pal,ab tanhai dhoondey.
Bithaya, samjhaya, seene se lagaya, phir sab kuch bataya. Par tumne, bulaya, rulaya, phansaya or aik ehsan karke baar baar jataya.
phele bhi bola mujh jaisa dhoond nahin paogi.
Main jo gaya tanhai main ghum ho jaogi., kis tarah phir mujhe dhoke dogi, or kis tarah rulaogi.
Chorus:
Kisi na kisi pe aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks bhi yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat hamesha, khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai.
Verse 2 :
Mere saamne sajae khoob khuaab,
Peet peechey bolo mein hun azaab.
Kitney diye gham kabhi lagao hisaab, ya mujhe rulaake kitna mila sawaab.
Hosho hawaas khoke, sabke saamne mein betha, kitney mein taaney sunta, kitne ghamon ko mein sehta.
Lekin ab nahin, ab bohot hua,
yeh hun naya mein, purana wala fout hua.
Ab hai khud par kabu,
naa hota me bekaabu,
hai saamne mere asliat,
na chalega ab jaadu,
tou ab mein acha, sabse sacha,
kal tak tou jaahil khudkharz tha,
kese bhuladun wou gham, ab kyun yaad aen wo pal ab kyun teri ankhein nam.
Jao na dunya se pyaar karo,
jis tarah lartin thi mujhse ab dunya se laro,
jis tarah sartin thi mujhse ab ja ker dunya se saro,
Jesa kia ab wesa bharo,
Raho khushya zinda maro.
mujhko dhoondo har sheher main, uss waqt tha meetha, ab zahar mein.
Mera dard khud hi mein jaanta, samjh lo yeh ehsaan tha.
Bridge:
Koi na milega jo tujhe phoolon ki chaadron pe litaae,
or apni poori raat kaanto pe bitae.
Chorus:
Kisi na kisi pe aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks bhi yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat hamesha, khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai.